Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri Islami tareekh kay mutabiq 400 Hijri or anghrazi tareekh ka mutabiq 1009 ki Aghanistan kay shahar Ghazni kay 1 choty say ilaqy jiska nam Hujwer hai main paida howay. Bhot say log  Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri ka asal or mukamal nam nai janty. Apka asal nam Hazrat Syed Hafiz Haji Abu’l Hasan Bin Usman Bin Ali Al-Jalabi Al-Hujwiri (RA) hai. Iskay elawa apky walid ka nam Usman Ali tha. Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri ka silsila nasab Hazrat Ali (RA) say ja k mlta hai. Waqia karbala kay bad Yazidi foj ulad Rasool (SAW) kay bari bai dardi k sth qatil karny lagi. Isi waja say Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri kay ab o ajdad Iraq say hijrat kar k Afghanistan main a kar rahny lagy or yha par e Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri paida howay. Ap nay apni ibtadai zindgi Jalab or Hajwer main guzari is liay apky nam k sth Jalab or Ajwer likha jata hai. Ap nay apni ibtadai tahleem apny gar par e hasil ki. Ibtadai tahleem hasil karny k bad Afghanistan kay 1 shahar Ghazni main Abu’l Abbas Bin Ahmad say deen ka ilam hasil karny lagy. Iskay bad ap deen ka ilam apny ustad yani Sheikh Abu Fazal Muhammad Bin Hassan say hasil kia. Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri nay deen ka ilam hasil karny k liay Baghdad, Syria, Iraq, Persia, Kohistan, Azerbaijan, Tabaristan, Kerman, Khorasan or Transoxiana ka sfar kya. Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri apni sari zindgi deen or islam ka ilm sikhaty  rhay.Ap Zaida waqt Quran or Hadees ki tadrees ma masroof rahty thy or ghair muslim b rahnomai k laiy ap say rojo karty thy. Ap jis muhabat or Shafqat say ghair muslims kay sth paish aty thy wom is say bayhad mutasir hoty thy. Ya e wja thi k bhoot say ghir muslim apky ilm ko daikh kar muslman howay. Apki tableghi koshishon kay asrat Lahore say bahir or ahista ahista pury bare-sagheer par muratab ho gay. Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri nay bhoot si kitabin likhian jin main Kashf-ul-Mahjoob, Dewan shair, kitab fina-o-Bikaa, Kashf-ul-Israr, or Minhaj-uddin hain. Apko Zaida tar duinya Data sahib or Data Ganj-Bakhsh.  Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri islami tareekh kay mutabiq 465 Hijri or anghrazi tareekh kay mutabiq 1074 ko Pakistan kay sobay Punjab kay shahar Lahore main is duinya say parda farma gy. Apka darbar Lahore main Data Darbar kay nam say mashoor hai.  

Darbar Hazrat Data Ganj-Bakhsh Ali Hujweri RA

 


We deeply acknowledge your queries and your kind feedback/comments are highly valuable for us.
If you find anything offensive please inform us or send us your feedback at
[havelian.net@gmail.com]
Thankyou very much, please keep visiting the website :)