Bahrphor mahnat or sachi lagan liay ya is shahar kay qalb main waqy gurday kay amraz ka ilaj k liay  khitay ka 1 mumtaz or muft tibi idara Sindh Institute of Urology and Transplantation. Salana 4 lakh sy Zahid marezo or unky alh e khana ki umedon ka markaz. 1970 main mahaz 8 bistron sy aghaz karny waly is unit k tibi amlay ki shab o roz 1 sachi lagan ka jazba ko samoy howay hain or yha farham ki jany wali saholtian ab 1 azeem koi khidmat ka rop dhar gey hain. Bilashuba idara Sindh Institute of Urology and Transplantation aoni services k  lahaz sy Asia kay chand bahtreen or jaded tareen hospitals ma sy 1 hai. Gurday ka amraz k any waly kisi b mareez ko yha sy mausos nai jany dia jata. Doctros or amlay ki qabil qadr tadad har waqt kisi b mareez ko tibi amdad farham karny k liay  tayar rahti hai. Is unit k elwa Chest, Diabatic, Infection, Stone ya gurday ki kharabi ya tabdeli, Cancer or bacho kay amraz k liay b outpatient clinic kay zariay har hafty 2 hazar 500 mareezo ko ilaj ki saholat farham ki jati hai. Gurday ka amraz main mubtala akasar mareezo ko Dialysis sy guzarna parta hai. Dialysis kay bharty howay marezo kay liay 110 stations par mushtamil SIUT ka dialysis unit rozana 390 muft sessions karta hai. Agar mareez dialysis karny kay liay SIUT k elawa niji tibi idaron su rojo Karin to uni ya intahai mahnga pary jabkay SIUT ma tamam dialysis muft kiay jaty hain. SIUT ki 1 or saholat muft kidney transplant hai. 1985 sy ab tak ya idara 1800 sy zayda Kidney Transplant muft anjam dy chuka hai. 1 kidney transplant par taqreeban 200000 kharcha ata hai. November 2003 main phala jigar ka kam kamyab transplant SIUT e main kya gya. Is transplant kay natijay main nanay shohaib ko nai zindgi mili. Sindh Institute of Urology and Transplantation main tamam ilaj muft kya jata hai yha dawaon or mukhtalif adviyat ki farhami ki koi fees nai li jati or ya e bat SIUT ko is tarh k digar idaron say mumtaz karti hai. Sindh Institute of Urology and Transplantation salana 20 karoor rupy ki adviat apny mareezo ko muft farham karta hai. Idaray ki 1 or khsosiat yha ka nazm o zabt or mareezo kay sth dostana mahool hai. X-ray, CT scan, Angiography, MRI or Interventional Radiology sy arasta SUIT kay radiology unit main salana 1 lakh muft test jabky laboratory main salana 20 lakh sy zahid muft test kiay jaty hain. SIUT apni saholton apni saholton nataij or khidmat ky lahaz sy health sector ka lahaz sy benal aqwami mayar ka hamil hai. Pakistan main Electron Microscopey ki saholat SUIT kay elawa or khain majood nai. SIUT ya saholat digar idaron ko b ya saholat muft mohya kart hai. Bacho main gurdon kay amraz ki bharti hoi sharah is hawaly sa mazeed tawajo ki mutaqazi thi ya e waja hai SIUT ka paediatriv unit  gurday kay kul mareezo ky 1 tahai tadad yani sirf bacho kay ilaj k liay makhsos hai. SIUT ka CCU unit 1 waqt ma 15 mareezo  ki daikh bal ki istadad rakhata hai. Is unit par SIUT salana 3 karoor rupy kharch karta hai. Mareezo ki tadad ma azafay ki waja say jab jga ki kami nay sar uthaya to 500 million ki malyat say SIUT Hanifa Suleman Dawood Oncology Center jaisa azeem markaz qaim kya gya. Ya center cancer kay mareezo kay ilaj k liay makhsoos hai. SIUT tibi khidmat k elwa tahleemi or tahqiki medan main b khidmat anjam dy rha hai. Apny academic program kay tahat SIUT 750 Doctros, Nurses, Technicians or digar amlay ko tarbhiat farham kar rha hai. Idaray ki Library main hazaron ki tadad main jaded kitabaon ka majmoha hai. Mustaqbil ma ya idara mazeed toseeh or mazeed marakiz ki tahmeer kay mansobay rakhta hai.

 

Sindh Institute of Urology and Transplantation
Sindh Institute of Urology and Transplantation

 


We deeply acknowledge your queries and your kind feedback/comments are highly valuable for us.
If you find anything offensive please inform us or send us your feedback at
[havelian.net@gmail.com]
Thankyou very much, please keep visiting the website :)