لاہور شہر کا تاریخی پسِ منظر
Posted by Usman Gul | Page Views: 313993Lahore Pakistan soba punjab ka daral-hakomat or dosra sb sy bara shahar hai. Isy Pakistan ka sakafti, tahleemi, tarekhi markz or Pakistan ka dil b kha jata hai. Ya shahar darya e ravi k kinary waqay hai. Is shahar ki abadi taqreeban 1 karor 12 lakh sy zaida hai. Lahore ka shumar duinya ky qadeem or aham tahreen shahron main hota hai. Lahore ki tareekh hazaron sal pay phaili hoi hai. 1206 main Qutbuddin Aibak ny is shahar or bare sagheer main phali martba islami hakomat ki bunyad rakhi. Isi dour sy bare sagheer par musalmano ka dour shuro hota hai. Musalmano ka ya dour e hakomat moughlo ka dour hakomat tk apny urooj ko ponxha. Lahore ko mashoor moughal Badshah Jalaluddin Muhammad Akbar ny 14 sal yani ky 1584 sy 1598 tk apna paya takhat banay rakha. Is ny purany qila ky upr naya or mazboot qila tahmeer kya or shahar ky gird 1 dewar qaim ki jo ka surkh enton sy tahmeer ki gey. Shahar kay andar dakhil hony k liay 13 darwazy rakhy gy. Duinya k kai mumalik sy log aj b inka nazara karny k liay Lahore aty hain. Mughal badshah Jahangir or Shahjahan jo Lahore e main paida howay uno ny qilay ko mazeed woshat di mahal or baghat tahmeer karway. Jahangir or iski bv Noor Jahan ko is shahar sy bari muhbat thi 2no ky maqbary b isi shahar main hain. Shahjhan ny bhoot si amartian bnawain. Akhari bary Mughal Badshah Aurangzeb Alamgir ka dour hakomat 165 ta 1707 tha uno ny Lahore ko iski sb sy bari mashoor paxhan Badshahi Masjid di. Aurangzeb Alamgir ki wafat k baad Mughal saltanat ka zawal shoro ho gya. 19 sadi ky aghaz main Lahore mehez 1 azeem o shan saltanat ki yadgar ban kar rah gya.Anghraizo ny bhoot si amartian tahmeer ki. Purani Amarton ki hifazat k liay b kai iqdamat kiay magr har betata zamaba pny asrat chorta rha .1947 main azadi k bad Lahore Pakistan ka 1 mashoor or aham tahreen shahar ban gya. Lahore ki qadeem or jadeedd amartian apni alag shan sy logo ko matasasr karti hain. Badshahi Masjid, Shahi Qila, Shalimar Bagh, Maqbara jahangir, or masjid jahangir Lahore ki paychan hain or hamisha rhain gy. Lahore Ajaib Ghar, Punjab university or Quaid e Azam Library apni tarz e rahnaion sy bharphoor hain. Assembly hall apni tarz ki khubsurat or mazboot amarat hai ya amartian har lahaz sy qabil e deed hain. Lahore main mojood musium ki tadad 5 hai. Lahore ko baghat ka shahar b kha jata rha hai magar ku k ab abadi axhi khasi barh gey hai is laiy baghat ba choty choty rah gy hain. Bary Baghat ab b khubasurti ki missal ap hain jin main Bagh Jinnah, Gulshan Bagh or Ravi Park waghira kabil e zikar e nai kabil e deed v hain. Allama Iqbal international Airport Railaway Station or wapda house apni alag shanakhat rakhta hai. Lahore Adhbi or Tahzeebi shahar hai.
History of Lahore
History of Lahore
We deeply acknowledge your queries and your kind feedback/comments are highly valuable for us.
If you find anything offensive please inform us or send us your feedback at [havelian.net@gmail.com]
Thankyou very much, please keep visiting the website :)
MPQ Developers PVT.LTD.