Hazrat Khwaja Moinuddin aka Gharib Nawaz Chishti Dargah Ajmer, Rajhistan India ma hai.Pori duinya sy lakhon ki tadad ma muslman aur gher muslim  Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti k Dargah par hazir hoty hain or faiz hasil karty hain. Ap 1142 ko Sijistan main paida howay. Sijistan ko mojada dour ma Sistan kaha jata hai jo k Iran ma waqy hai. Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti ka shajra-nassab Hazrat Ali sy ja ka milta hai. Apki waleda e mohtarma ka nam Hazrat BIBI UMMUL WARA hai or apke walid ka nam Syed GAYASUDDIN HASSAN hai jo k aik maladar tajar hony k sath sath Abid o Zahid qism k insan thy. Jb apki umer 15 sal ki thi tou apke walid ka intqal ho gya. Apko walid ki warast sy 1 bagh or 1 panchaki mli. Khwaja Gharib Nawaz isi sy halal rizq kamty or huma waqt ebadat ma mashghool rahty.Ghareebon or foqra ki bhoot khidmat or qadr kya karty thy. Ibtadhai taleem ki gharaz sy ap khurasan tashreef ly gy wha ap ny kam umri mai e Quran Hifz farmaya.phr wha sy hoty howay bhukra tashreef lahy or us dour k Mashoor Alam or qabil e ahtram shaksiat Hazrat Hassam ud din ki khidmat ma hazir howay or unsy ilm e Fiqa or Hadies ki taleem hasil ki. Ap bhoot e sakhi thy apky pas jo kxxh hota ap wo ghreebon or maskeeno ma takseem farma dty. Aj pori duinya apki sakhwat or ajzi ki qahil hai.Ap 1236  ko is duinya sy tashreef ly gy lakin aj b ap logo k dilo main zinda hain . Allama Iqbal ny shahid aisy e logo k liya kya khoob farmaya hai

HazaaroN saal nargis apni be noori pe roti hai 
Badi mushkil se hota hai chaman mein deedawar paida.  (
Allama Iqbal)

Pictures of Khawaja Gharibnawaz's Dargah (Ajmer) are given below:

 

KHAWAJA GHARIBNAWAZ R.A DARGAH AJMER

 


We deeply acknowledge your queries and your kind feedback/comments are highly valuable for us.
If you find anything offensive please inform us or send us your feedback at
[havelian.net@gmail.com]
Thankyou very much, please keep visiting the website :)