History of Peshawar
Posted by Usman Gul | Page Views: 303727Peshawar shahar hazaron salo sy abad chala a rha hai kbi wairan or bai-charagh nai rha. Ya shahar tareekh k awraq main mukhtalif namo sy tahreer hai. 500 kabl mssekh phaly Hekaites ki tahreer Geography in Milits main iska nam Kaspaporas hai.486 kabl massekh ko unani muarakh Herodotes ny is shahar ka nam Kaspatoras tahreer kya.Alberoni ny is shahar ko Peshawar likha. Peshawar ko or b kai namo sy jana jta hai jaisy Kishanpur, Parashapur, Shahpur or Baqram,k elawa is qadeem shahar ka nam Paroparasta v tha. Ya azeem o shan shahr kb wajood ma aya is bary ma mohaqiqen ki rahy mukhtalif hain madaye Nask nami kitab main main tahreer hai k is shahar ko paras k badshah Queemerce ka nawasy Hoshing ny abad kya . Dosri rawayt kay mutabiq is shahr ko 7000 sal kabl Mahraj Kishan ny abad kya. Yha par phly logo nay zarahat ka kam kya phr ahista ahista dusri tahzeebon ny qadm rakha. Shahri tazeebon k sth logo ny dosry paisho ko b akhtayar kya Mochi,Tarkhan, Darzi or degar paisho sy wabasta log samny ay or ya phala paisha wara logo ka shahar wajood ma aya. Mohaqiqeen is bat par mutafiq hain k ya shahar Darawaro ny abad kya. Peshawar kafi arsa tak turk shahiya or hindu shahiya k qabzy par rha. 978 ko Sabugtageen ny Peshawar fatah kar k Ghazni Sultanat ma shamil kya.
150 bars tak Peshawar pr Ghazni Sultanat ka parcham lahrata rha. Shahab udin Ghori ny Ghazni Sultanat ka khatma kar ky Peshawar par afghano ka jhanda lahra dya. Peshawar par mughal hukmran ka parcham lahrata rha. NAdir shah k qatil k bad Peshawar par Afghnistan ka jhanda lahra kar Peshawar ko Afghanistan ka sarmyai daral khilafa banaya. Durani dour Peshawar k zhari douron ma sy 1 dour tha duranio ny Peshawar ko pholon or baghon ka shahar bna dya. 1823 ma Ranjeet Singh ny pesshawar ki eint sy eint bja di shahar ky tmam baghon or tamam tareekhi hamarton ko malyamait kar dya or apna parcham lahra dya. Phir sekhon ka dour shoro hoa. 1849 ko sekho ka parcham utar kar anghraizo ny Union jack ka jhanda lahra dya. Anghraizo ny Peshawar k sth bhoot axha salooq kya na e logo ko nukhsan ponxhya or na e logo par zulm kya Balky uno ny Peshawar ko phr nay sary sy tahmeer kya jo bagh or qadeem jhgain khrab thi un par qadeem kam kya or Peshawar ky wirsy ki hifazat ki. Peshawar ka sb sy zaida khubsurat or dilfraib jga uska undroni bazar hai. Is ma kai mazab tahzeeb or mahashrat ky asar pahy jaty hain. Peshawar 1 sekafti shahar hai. Hindustan film industry par raj karny waly, Raj kapur, Dilip Kumar or Shahrukhan ka tahaluq androny shahar sy hai.
Pakistan ka namwar adakar Agha Talish, Qawi khan or Pitras Bukhari ki janam bhomi b androny shahar hai. Peshawar my Sadar bazar bahot mashoor hai oor yha pu mukhtalif sakafton ki chezian milti hain jo k daikhny waly ki ankho ma 1 naya rang dal dty hain. Grand victoria memorial sy 1906 ma 1 amarat bnai gai jha sarkari takreebat munakid ki jati thi 1 zamzny ma ya dancing hal ky tor par b istamal hota rha. 1918 ma yaha 1 ajaib ghar b qaim kya gya is ma bhoot si sakafti cheezain ralkhi gain. 1932 main phali arzi subai assembly b isi building main qaim ki gey . Sarhad ky phaly Wazeer Ahla Sahibzada Abdul Qayyum khan ni is amarat my apny ohdhay ka halaf uthaya. Subai Assemble ki amarat tahmeer hony tak ya ahmarat dubara ajaib gar walo ko waps kar di gai. Qilla Bala Hissar b 1 purani yadgar hai peshawar ki. Ya Qilla utna e purana hai jtna k Peshawar. Is qilly ki buinyad 5000 sal phaly derawaro ny rakhi thi. Is qillay sy Peshawar ki bhoot haseen or talkh yadin wabasta hain. Peshawar ko khubsurat or yadgar bnanay waly log to chaly gy lakin unki yadin aj b Peshawar ma jaghmgati hain.
History of Peshawar
History of Peshawar
We deeply acknowledge your queries and your kind feedback/comments are highly valuable for us.
If you find anything offensive please inform us or send us your feedback at [havelian.net@gmail.com]
Thankyou very much, please keep visiting the website :)
MPQ Developers PVT.LTD.