Blue mosque or masjid Sultan Ahmad Turki k 1 bohat mashoor shahar Istanbul ma waqay hai. Ya masjid aj b qaim hai Azan or Numaz ka baqaida ahtamam hota hai or jab yaha Azan hoti hai or namaz ba-jahmat main bohat saray muslim apne Rab k samne sajda karty hain. Ya masjid sal 1609 sy sal 1616 ky darmyan sultan Awal k dour ma tahmeer ki gey thi. Aj b Sultan Awal ka maqbra is masjid ma majood hai. Is masjid ma 1 Madrsa or 1 chota sy Mospital b hai. Is masjid ma hath sy lgay gy Pavit tiles mojood hain jo nahait khoobsurat dikhai dty hain. Rat ksy Andhray ma ya masjid neely rang ki Roshni sy dhak di jti hai or wo manzr qabil e deed or qabil e tareef hai. Is majsd ma kul 6 Minar hain 5 bary Ghumbad hain or 8 choty Minar hain jo dikhny waly ki ankhon main 1 naya naksh paida karty hain. Is masjid main neely rang ka isatmal bhoot Aahla or nafasat bary tariqy sy kiya gya hai. Masjid k andar bhoot e khobsurat tareeky sy kam gya hai isky farsh par Surkh rang ki qalene dali gey hai or ya istamal hony k kxxh arsay bad tabdeel b kar diay jaty hain .Har choty Ghumbad main 14 khirkian hain or sab sy bary Ghumbad main 28 khirkian hain. Msajid ka Mihrab or Mimbar wali dewarian Sangmarmar sy bnai gey hain. Masjid ka 1 darwaza aisa b hai jisky dakhli rasty main bhoot bari zanjeer lgai gey hai. Is zanjeer k lgay jany ka 1 khas maqsad tha Sultan Ahmad k elawa is darwazy sy koi andr nai ja skta tha or jab Sultan Ahmad is darwazy sy andr jata tha to wo apna sar jhuka k andar dakhal hota tha to sar ko jhukany ka maqsad ya tha k wo Khuda ki barai ko tasleem karta tha or khud ko uski bhoot choti si makhlook samjta tha. Ya zanjeer wha pay any waly logo k liaY dil chasb namona hai.

The Blue Mosque SULTANAHMET MOSQUE
The Blue Mosque SULTANAHMET MOSQUE

 


We deeply acknowledge your queries and your kind feedback/comments are highly valuable for us.
If you find anything offensive please inform us or send us your feedback at
[havelian.net@gmail.com]
Thankyou very much, please keep visiting the website :)